• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dukh Dard Gham Hain Teri Inayat Zindagi

Dukh Dard Gham Hain Teri Inayat Zindagi

dukh dard gham hain teri inayat zindagi

tu ne nibha.in ḳhuub rivayat zindagi

ik tu niyaz-mand sarapa main be-niyaz

milte nahin hain apne ḳhayalat zindagi

fitrat men aadmi ke taghayyur nahin magar

insan ko badalte hain halat zindagi

milte rahe hain saare zamane se umr bhar

tujh se na jaane kab ho mulaqat zindagi

donon ke biich koi ta.alluq nahin hai ḳhaas

jiina hai aur chiiz alag baat zindagi

aram se guzarti kuchh din hayat ke

sunti kabhi jo tu bhi miri baat zindagi

hai musta.ar tar-e-nafas se tira vajud

is se ziyada kya tiri auqat zindagi

sanson ke vaste kare dast-e-talab daraz

har roz mujh se mange hai ḳhairat zindagi

auron ke vaste hai mujassam takallufat

‘aqib’ tire liye hai ḳhurafat zindagi

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Nigah-E-Yar Yunhi Aur Chand Paimane

firaq-gorakhpuri

dilon Ka Soz Tere Ru-E-Be-Naqab Ki Aanch

ahmad-tariq

darkar Tha Qarar Bulana Pada Use

asrarul-haq-majaz

Aashiqi Jaan-Faza Bhi Hoti Hai

Shakl Sahra Ki Hamesha Jaani-Pahchani Rahe

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet