ab-o-dana tira ai bulbul-e-zar uthta hai
fasl-e-gul jaati hai saman-e-bahar uthta hai
shaikh bhi muztarib-ul-hal pahunch jaata hai
janib-e-mai-kada jab abr-e-bahar uthta hai
marhaba bar-e-amanat ke uthane vaale
kya kaleja hai tumhara ki ye baar uthta hai
khar-e-sahra-e-mohabbat ki khatak kya kahiye
jab qadam uthta hai apna sar-e-khar uthta hai
du-e-ah-e-dil-e-sozan hai ‘mubarak’ apna
jo dhuan shama se balin-e-mazar uthta hai
Leave a Reply