ye aine ka safar-nama nahin
kisi aur rang ki kashti ki kahani hai
jis ke ek hazar paanv the
ye kuen ka thanda paani nahin
kisi aur jagah ke jangali chashme ka bayan hai
jis men ek hazar mashalchi
ek dusre ko dhund rahe honge
ye juton ki ek narm jodi ka moamla nahin
jis ke talvon men ek janvar ke narm
aur uupri hisse men us ki maada ki khaal ham-juft ho rahi hai
ye ek iint ka qissa nahin
aag paani aur mitti ka faisla hai
ye ek talvar ki dastan hai
jis ka dasta ek aadmi ka vafadar tha
aur dhad ek hazar adamiyon ke badan men utar jaata tha
ye bistar par dhuli dhulai ediyan ragadne ka tazkira nahin
ek qatl-e-am ka halfiya hai
jis men ek aadmi ki ek hazar baar jan-bakhshi ki gai
Leave a Reply