• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Riya-Kariyon Se Musallah Ye Lashkar Mujhe Mar Denge

Riya-Kariyon Se Musallah Ye Lashkar Mujhe Mar Denge

riya-kariyon se musallah ye lashkar mujhe maar denge

main bach bhi gaya to na.e hamla-avar mujhe maar denge

ba-zahir ye ahl-e-mohabbat hain lekin munafiq bahut hain

ye ik roz dam-e-mohabbat men la kar mujhe maar denge

main apni hi avaz apne hi saa.e se Darne laga huun

aur ab ḳhauf ye hai ki mere yahi Dar mujhe maar denge

isi men amaan hai ki main un ke chehre palaT kar na dekhun

palaTne ki surat men ye kina-parvar mujhe maar denge

main hone ko apne hi batin men ru-posh ho ja.un lekin

mire apne ahbab shak ki bina par mujhe maar denge

ye kamil yaqin hai ki jis din bhi apne muqabil men aaya

miri zaat men morcha-band ḳhud-sar mujhe maar denge

‘hasan’ ab khule asmanon men parvaz karna paḌegi

vagarna ye ḳhisht-e-havas se bane ghar mujhe maar denge

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Sada Fariyaad Ki Aae Kahin Se

poet

Sitam Hai Wo Phir Bad-Guman Ho Raha Hai

ismail-merathi

Ek Waqt Mein Ek Kaam

poet

Had-E-Junun Se Bhi Aage Gae Hain Diwane

poet

Safar Andar Safar Karte Agar Tum

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet