ek rahne se yahan vo mavara kaise hua
sab se pahla aadmi ḳhud se juda kaise hua
tere baare men agar ḳhamosh huun main aaj tak
phir tire haq men kisi ka faisla kaise hua
ibtida men kaise sahra ki sada samjhi ga.i
aḳhirash saara zamana ham-nava kaise hua
chand hi the log jin ke samne ki baat thi
main ne un logon se ḳhud ja kar suna kaise hua
jab ki sabit ho chuka nuqsan hone ka ‘malal’
fa.eda kya sochne se kyuun hua kaise hua
Leave a Reply