• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / dard To Maujud Hai dil Mein dawa Ho Ya Na Ho

dard To Maujud Hai dil Mein dawa Ho Ya Na Ho

akbar-allahabadi

dard to maujud hai dil men dava ho ya na ho

bandagi halat se zahir hai khuda ho ya na ho

jhumti hai shakh-e-gul khilte hain ghunche dam-ba-dam

ba-asar gulshan men tahrik-e-saba ho ya na ho

vajd men laate hain mujh ko bulbulon ke zamzame

aap ke nazdik ba-maani sada ho ya na ho

kar diya hai zindagi ne bazm-e-hasti men sharik

us ka kuchh maqsud koi muddaa ho ya na ho

kyuun civil-surgeon ka aana rokta hai ham-nashin

is men hai ik baat honour ki shifa ho ya na ho

maulvi sahib na chhodenge khuda go bakhsh de

gher hi lenge police vaale saza ho ya na ho

membari se aap par to varnish ho jaegi

qaum ki halat men kuchh is se jila ho ya na ho

mo’tariz kyuun ho agar samjhe tumhen sayyad dil

aaise gesu huun to shubah daam ka ho ya na ho

Filed Under: Ghazal Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Ruh Hazir Hai Mere Yar Koi Masti Ho

Kitab-E-Zist Se Kuchh Iqtibas Taswiren

Kisi Bachpan Mein Banai Hui Kashti Jaisa

Nahin Aasan Kisi Ke Waste taKHmina Mera

poet

dar Pe Tere Pukar Ki Fariyaad

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2022 ยท Urdu Poet