Na toD Shishon Ko O Gul-Badan taDaq-paDaq

na toḌ shīshoñ ko o gul-badan taḌāq-paḌāq

ye dil-shikan hai sadā-e-shikan taḌāq-paḌāq

ba-rañg-e-ġhuncha-e-gul chup ho kyuuñ javāb to do

mirā suḳhan kā hai ye ho suḳhan taḌāq-paḌāq

abhī uThe tirā bīmār-e-nā-tavāñ ġhash se

jo de tū bosa-e-seb-e-zaqan taḌāq-paḌāq

hazāroñ shīsha-e-dil koh-e-ġham pe ai ‘tanvīr’

mudām toḌe hai charḳh-e-kuhan taḌāq-paḌāq

Leave a Comment