rah-e-ulfat men jab tark-e-tavassut ka maqam aaya
na duniya mere kaam aa.i na main duniya ke kaam aaya
asiri ki faza kis darja hasrat-ḳhez hoti hai
nasheman ka tasavvur bhi jo aaya na-tamam aaya
hamari zaat se hai kitni dilchaspi zamane ko
hamesha zer-e-ghaur aaya to bas apna hi naam aaya
vafa ki raah men asaniyon ka zikr hi kya hai
yahan jo bhi maqam aaya baḌa mushkil maqam aaya
nasha kaisa nahin ehsas tak kuchh talḳhi-e-mai ka
kahen kis se ki kya guzri jahan gardish men jaam aaya
visal-e-dost ki manzil nahin ma.alum kab aa.e
maqam-e-hosh se guzre to hairat ka maqam aaya
zamane par ayaan hone ko tha raz-e-alam mera
tira anjan ho jaana bhi kis mauqe pe kaam aaya
na jaane vaqt ki tabdiliyan kya kya dikhati hain
chaman valon ke hathon ab chaman ka intizam aaya
vufur-e-shauq men insan ḳhud ko bhuul jaata hai
tum aa.e samne to jab samajh men ye maqam aaya
usul-e-mai-kada aise bana rakkhe hain saaqi ne
jo nikla be-ḳhabar nikla jo aaya tishna-kam aaya
shikayat ki bhi gunja.ish kahan hai ‘shauq’ phulon ko
ḳhizan-e-zindagi ban kar baharon ka payam aaya
Leave a Reply