tufan samundar ke na dariya ke bhanvar dekh
sahil ki tamanna hai to maujon ka safar dekh
ḳhushiyon ka ḳhazina tah-e-daman-e-alam hai
guzre shab-e-tarik to phir nur-e-sahar dekh
uḌ jaana falak tak koi mushkil nahin lekin
suraj ke tamazat se jhulas jaa.en na par dekh
me.araj hai me.araj tire zauq-e-nazar ki
har manzar-e-dil-kash yahi kahta hai udhar dekh
chashme hain na dariya na samundar hai na jhilen
hai pyaas ki aalam hain sarabon ka safar dekh
Takra.en to sahraon men bhi aag laga den
poshida rag-e-sang men hain kitne sharar dekh
tu ne to miri samt se munh moḌ liya hai
ab hoti hai kis tarah miri umr basar dekh
tu apni hifazat ki dua maang chuka hai
ab baiTh ke ḳhalvat men duaon ka asar dekh
is kar-gah-e-dahr men ai rahmat-e-alam
ik main hi nahin sab hain tire dast-e-nigar dekh
kya tah men samundar ki ‘guhar’ DhunD raha hai
meri sadaf-e-chashm men ashkon ke ‘guhar’ dekh
Leave a Reply