tanha chand ko dekha hoga
koi yaad to aaya hoga
zabt ka shisha chaTḳha hoga
yaad ne kankar phenka hoga
savan ki bhigi ḳhushbu ne
sanson ko sulgaya hoga
gagar se chimTi hai ‘radha’
‘shyam’ jo us ko chhuta hoga
ham kya ḳhaak ghazal likkhen jab
angḌa.i par pahra hoga
tere tevar dekh ke akasr
mausam rang badalta hoga
jis ne pyaar luTaya us ka
aansu hi sarmaya hoga
vasl ki chaah men tapta suraj
saghar Duub ke rota hoga
saunp ke maujon ko bechaini
pyasa sahil sota hoga
taara TuuTa aur dil dhaḌka
tujhe kisi ne manga hoga
Leave a Reply