• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Aish Se Kyun KHush Hue Kyun Gham Se Ghabraya Kiye

Aish Se Kyun KHush Hue Kyun Gham Se Ghabraya Kiye

aish se kyuun ḳhush hue kyuun gham se ghabraya kiye

zindagi kya jaane kya thi aur kya samjha kiye

nala-e-be-tab lab tak aate aate rah gaya

jaane kya sharmili nazron se vo farmaya kiye

ishq ki ma.asumiyon ka ye bhi ik andaz tha

ham nigah-e-lutf-e-janan se bhi sharmaya kiye

naḳhuda be-ḳhud faza ḳhamosh sakit mauj-e-ab

aur ham sahil se thoḌi duur par Duuba kiye

vo hava.en vo ghaTa.en vo faza vo us ki yaad

ham bhi mizrab-e-alam se saz-e-dil chheḌa kiye

muḳhtasar ye hai hamari dastan-e-zindagi

ik sukun-e-dil ki ḳhatir umr bhar taḌpa kiye

kaaT di yuun ham ne ‘jazbi’ rah-e-manzil kaaT di

gir paḌe har gaam par har gaam par sambhla kiye

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

fahmida-riaz

Patthar Ki Zaban

poet

Tha Najm-E-Bakht-Tira Muqabil Tamam Raat

afzal-gauhar-rao

Shikast Kha Ke Bhi Kab Hausle Hain Kam Mere

Be-Qarari Dil-E-Muztar Ki baDhai Humne

Dil Ko Aae Ki Nigahon Ko Yaqin Aa Jae

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet