tum se jaana ki ik kitab huun main
harf-dar-harf la-javab huun main
hasrat-e-mausam-e-gulab huun main
sach na ho paega vo khvab huun main
aap ne e’tibar hi na kiya
men to kahti rahi sarab huun main
mujh se apni nami na suukh saki
aap kahte hain aftab huun main
ho ke maujud bhi nahin dikhta
vo amavas ka mahtab huun main
us se milte nahin usuul ‘sahar’
chahti jis ko be-hisab huun main
Leave a Reply