khol simaT ke andar simaT kar rah gaya main
apni saa.e se bhi kaT kar rah gaya main
le gaya vo chhin kar meri javani
us pe bas yuun hi jhapaT kar rah gaya main
jab kabhi nikla julus-e-rang-o-nik.hat
TuuTi divaron se saT kar rah gaya main
chal raha tha vo mere shana-ba-shana
ḳhud hi us se duur haT kar rah gaya main
us ne miTTi bhar mujhe uncha kiya jab
aur bhi ik haath ghaT kar rah gaya main
chaah thi ghul jaao saare manzaron men
haif kuchh logon men baT kar rah gaya main
barha aisa hua mahsus jaise
asmanon se lipaT kar rah gaya main
Leave a Reply