hai maslahat ki asiir duniya main janta huun
karegi kis dar pe ja ke sajda main janta huun
hava ki jitni navazishen hain ye sazishen hain
charagh aur andhiyon ka rishta main janta huun
main apne ashkon ka chhinTa de duun to hosh aa.e
abhi hai us ka zamir zinda main janta huun
ye us ki teghen ye us ke neze ye us ke ḳhanjar
pighalne vaala hai saara loha main janta huun
kahan se baal a.ine men aa.e ye dekhna hai
kahan se taqsim aks hoga main janta huun
jo zimmedari mili hai jis ko nibha raha hai
na koi pyasa na koi dariya main janta huun
kisi zamane ki ma.arifat kya kalam karna
badalta rahta hai ye zamana main janta huun
samajh raha huun vo kaise bichhḌega mujh se ‘tariq’
kahan vo badlega apna rasta main janta huun
Leave a Reply