• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Nazm / Inqalab

Inqalab

asrarul-haq-majaz

chhod de mutrib bas ab lillah pichha chhod de

kaam ka ye vaqt hai kuchh kaam karne de mujhe

teri tanon men hai zalim kis qayamat ka asar

bijliyan si gir rahi hain khirman-e-idrak par

ye khayal aata hai rah rah kar dil-e-betab men

bah na jaun phir tire naghmat ke sailab men

chhod kar aaya huun kis mushkil se main jam-o-subu!

aah kis dil se kiya hai main ne khun-e-arzu

phir shabistan-e-tarab ki raah dikhlata hai tu

mujh ko karna chahta hai phir kharab-e-rang-o-bu

main ne maana vajd men duniya ko la sakta hai tu

main ne ye maana gham-e-hasti mita sakta hai tu

main ne ye maana gham-e-hasti mita sakta hai tu

main ne maana teri mausiqi hai itni pur-asar

jhuum uthte hain farishte tak tire naghmat par

haan ye sach hai zamzame tere machate hain vo dhuum

jhuum jaate hain manazir, raqs karte hain nujum

tere hi naghme se vabasta nashat-e-zindagi

tere hi naghme se kaif-o-imbisat-e-zindagi

teri saut-e-sarmadi bagh-e-tasavvuf ki bahar

tere hi naghmon se be-khud abid-e-shab-zinda-dar

bulbulen naghma-sara hain teri hi taqlid men

tere hi naghmon se dhumen mahfil-e-nahid men

mujh ko tere sehr-e-mausiqi se kab inkar hai

mujh ko tere lahn-e-daudi se kab inkar hai

bazm-e-hasti ka magar kya rang hai ye bhi to dekh

har zaban par ab sala-e-jang hai ye bhi to dekh

farsh-e-giti se sakun ab mail-e-parvaz hai

abr ke pardon men saz-e-jang ki avaz hai

phenk de ai dost ab bhi phenk de apna rubab

uthne hi vaala hai koi dam men shor-e-inqalab

aa rahe hain jang ke badal vo mandlate hue

aag daman men chhupae khuun barsate hue

koh-o-sahra men zamin se khuun ublega abhi

rang ke badle gulon se khuun tapkega abhi

badh rahe hain dekh vo mazdur darrate hue

ik junun-angez lai men jaane kya gaate hue

sar-kashi ki tund andhi dam-ba-dam chadhti hui

har taraf yalghar karti har taraf badhti hui

bhuuk ke maare hue insan ki fariyadon ke saath

faqa-maston ke jilau men khana-barbadon ke saath

khatm ho jaega ye sarmaya-dari ka nizam

rang laane ko hai mazduron ka josh-e-intiqam

gir padenge khauf se aivan-e-ishrat ke sutun

khuun ban jaegi shishon men sharab-e-lala-gun

khuun ki bu le ke jangal se havaen aengi

khuun hi khuun hoga nigahen jis taraf bhi jaengi

jhonpadon men khun, mahal men khun, shabistanon men khuun

dasht men khun, vadiyon men khun, bayabanon men khuun

pur-sukun sahra men khun, betab dariyaon men khuun

dair men khun, masjid men khun, kalisaon men khuun

khuun ke dariya nazar aenge har maidan men

duub jaengi chatanen khuun ke tufan men

khuun ki ranginiyon men duub jaegi bahar

reg-e-sahra par nazar aenge lakhon lala-zar

khuun se rangin faza-e-bostan ho jaegi

nargis-e-makhmur chashm-e-khun-fishan ho jaegi

kohsaron ki taraf se ”surkh-andhi” aaegi

ja-ba-ja abadiyon men aag si lag jaegi

tod kar bedi nikal aenge zindan se asiir

bhuul jaenge ibadat khanqahon men faqir

hashr-dar-aghosh ho jaegi duniya ki faza

daudta hoga har ik janib farishta maut ka

surkh honge khuun ke chhinton se bam-o-dar tamam

gharq honge atishin malbus men manzar tamam

is tarah lega zamana jang ka khunin sabaq

asman par khaak hogi, farq par rang-e-shafaq

aur is rang-e-shafaq men ba-hazaran ab-o-tab!

jagmagaega vatan ki hurriyat ka aftab

Filed Under: Nazm Tagged With: Classic Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akhtar-ansari

Gham-Zada Hain Mubtala-e-dard Hain Nashad Hain

Ye Teri Yaad Hai Tera KHayal Hai Kya Hai

Kar-E-Ahl-E-Wafa Jehd-O-Taslim Hai Hum Bhi Taslim Mein Kya Tammul Karen

Jate Waqt Tujhe to Hum Hansta Dekhenge

jaun-eliya

Ek Saya Mera Masiha Tha

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 ยท Urdu Poet