abhi se aa gaiin nam-e-khuda hain shokhiyan kya-kya
miri taqdir ban ban kar badalti hai zaban kya-kya
mujhe gardish men rakhti hai nigah-e-dil-sitan kya-kya
miri qismat dikhati hai mujhe nairangiyan kya-kya
nigahon men haya hai aur haya men hai nihan kya-kya
tabiat men basi hain khair se ranginiyan kya-kya
faqat ik sadgi par shokhiyon ke hain guman kya-kya
ada-e-khamushi men bhar diya rang-e-bayan kya-kya
dil-e-khun-gashta-e-hasrat ne kya kuchh gul khilae hain
bahar-agin hai kuchh ab ki baras fasl-e-khizan kya-kya
nigahen bad-gumani se kahan ja-ja ke ladti hain
miri ankhon men hain dushman ki bazm-araiyan kya-kya
tasavvur men visal-e-yar ke saman hote hain
hamen bhi yaad hain hasrat ki bazm-araiyan kya-kya
abhi se ban gai mushkil abhi to duur hai manzil
mujhe rusva karengi dekhiye betabiyan kya-kya
vo jitne duur khinchte hain taalluq aur badhta hai
nazar se vo jo pinhan hain to dil men hain ayaan kya-kya
Leave a Reply