sahil pe kya hai bahar ke andar talash kar
gahra.iyon men Duub ke gauhar talash kar
jis men hayat-baḳhsh nazara dikha.i de
gulzar-e-zindagi men vo manzar talash kar
dete hain ab sada tujhe mirriḳh o mahtab
kya kya hain un ki god men ja kar talash kar
miT jaa.e jis ke nuur se zulmat hayat ki
aisa koi charagh-e-munavvar talash kar
tufan-e-bahar-e-zist men kashti na gharq ho
ai naḳhuda panah ka langar talash kar
jis da.ere men dauḌ lagata raha hai tu
us da.ere ke daur ka mehvar talash kar
‘kausar’ ho tujh ko ḳhud se jo milne ki aarzu
apne ko apne aap men kho kar talash kar
Leave a Reply