dil diya ji diya khafa na kiya
bevafa tujh se se main ne kya na kiya
gham-e-duri ko teri dekh ke yaar
aaj tak jaan se juda na kiya
faeda kya hai ab bigadne ka
kaun tha jis se tu mila na kiya
ye hamin the ki in jafaon par
phir kabhi tujh sati gila na kiya
kaun si shab thi hijr ki ‘asif’
ki ye dil shama saan jala na kiya