dar-o-divar ki zad se nikalna chahta huun main
hava-e-taza tere saath chalna chahta huun main
vo kahte hain ki azadi asiri ke barabar hai
to yuun samjho ki zanjiren badalna chahta huun main
numu karne ko hai mera lahu qatil ke siine se
vo chashma huun ki patthar se ubalna chahta huun main
buland o past duniya faisla karne nahin deti
ki girna chahta huun ya sambhalna chahta huun main
mohabbat men havas ka sa maza milna kahan mumkin
vo sirf ik raushni hai jis men jalna chahta huun main
Leave a Reply