• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Log Kahte Hain Bahut Zinda-O-Painda Hun

Log Kahte Hain Bahut Zinda-O-Painda Hun

log kahte hain bahut zinda-o-pa.inda huun

kis ko malum hai ye sach ki tira kushta huun

zindagi naam tanaffus ka nahin hai janan

shikva be-ja hai ki bin tere bhi main zinda huun

maar hi deti mujhe teri ye furqat lekin

kab tiri yaad ne chhoḌa hai ki main tanha huun

hai baja teri juda.i men to mar jaana tha

main magar hijr men bhi vasl se vabasta huun

marne jiine ka sabab ḳhuub hai ma.alum mujhe

sard-mehri hai kisi ki jo main ik lasha huun

be-ruḳhi ka hai vo ik sang faqat sang hai vo

aur main us ke liye shisha faqat shisha huun

vo ki hai mere liye atish-e-dil ai ‘ḳhalid’

main magar us ke liye sirf dhuen jaisa huun

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Khuda-Parast Hue Na Hum But-Parast Hue

Ajab Ek Masala Pesh Aa Gaya Tha

Har Ek Mahaul Se Beganagi Mahsus Hoti Hai

Aaj Ke Din Ko Yun Bhar Jaunga

poet

Aashiq Hi Faqat Nahin Hai Janjalon Mein

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet