• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / KHirad Ne Lakh Sar-O-Barg-E-Ijtinab Kiya

KHirad Ne Lakh Sar-O-Barg-E-Ijtinab Kiya

ḳhirad ne laakh sar-o-barg-e-ijtinab kiya

tiri nigah ko mire dil ne kamyab kiya

karam bhi tu ne jo ai asman-janab kiya

sukun-e-dil ko mubaddal-ba-iztirab kiya

nisar us nigah-e-dil-navaz ke jis ne

asir-e-dard kiya vaqf-e-iztirab kiya

mujhe tiri nigah-e-intiḳhab par hai ye rashk

jahan bhar se mujhe us ne intiḳhab kiya

dil-e-hazin gila-e-jaur us se jis ne tujhe

harim-e-ishq-o-mohabbat men baryab kiya

karam nahin na sahi jaur-e-na-rava hi sahi

ye kam nahin ki mujhe tu ne intiḳhab kiya

nigah-e-shauq ki gustaḳhiyan ma.az-allah

kise harim-e-tasavvur men be-naqab kiya

‘rashid’ ishq kisi haal men gunah nahin

chalo gunah sahi ab to irtikab kiya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

suKHan Mein Rang Tumhaare KHayal Hi Ke to Hain

poet

Huruf Khaali Sadaf Aur Nisab zaKHmon Ke

Bund Ko Bund Samundar Ko Samundar Kahna

poet

Abhi Se Aa Gain Nam-E-Khuda Hain Shokhiyan Kya-Kya

Qarar Dil Ko Mila Tere Muskurane Se

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet