zamin thi tang khula asman kya rakhte
ham apne sar pe koi sa.eban kya rakhte
bahut tavil tha anjan chahaton ka safar
ki chal rahe the musalsal takan kya rakhte
jahan bhi chhanv nazar aa ga.i paḌav kiya
ik umr dasht men guzri makan kya rakhte
na hota ḳhuun hamara jo rang-o-nik.hat men
ye phuul chehre bhala an-ban kya rakhte
bhuna rahe hain jo aslaf ke usulon ko
vo apna nam-o-nasab ḳhandan kya rakhte
jhulas ga.e the tamazat se bal-o-par jin ke
vo bad-nasib parinde uḌaan kya rakhte
Leave a Reply