ghaTa savan ki umDi aa rahi hai
payam-e-ashk bhar bhar la rahi hai
ragon men ḳhuun gardish kar raha hai
javani saz-e-dil par ga rahi hai
rulata hai unhen bhi kya ye savan
mujhe kaali ghaTa taḌpa rahi hai
tarannum-ḳhez jamuna ke kinare
kisi ki yaad paiham aa rahi hai
ye aḳhir kaun hai jo chup khaḌa hai
nazar har baar dhoka kha rahi hai
ham apne dil ka dukhḌa ro rahe hain
tumhari aankh jhapki ja rahi hai
tum apne dhyan men Duubi hui ho
tumhari oḌhni lahra rahi hai
miri be-ḳhvab ankhon ko mubarak
ki aḳhir maut ki niind aa rahi hai
Leave a Reply