jo meri halat pe hans rahe hain mujhe kuchh un se gila nahin hai
vo na-samajh hain samajh rahe hain ki jaise mera ḳhuda nahin hai
ḳhulus idhar bhi ho aur udhar bhi to dil se phir dil juda nahin hai
main un ko chahun vo mujh se ruThen kabhi to aisa hua nahin hai
jhuka.iye dil ko sar se pahle ki lutf hasil ho zindagi ka
na ho agar ijz bandagi men to bandagi ka maza nahin hai
bura.iyan hi bura.iyan hain bura.iyon ka jahan hai saara
buron se daman bacha.en kyuun kar buron ke daman men kya nahin hai
ye main ne maana ki zindagi men havadisat-e-jahan bhi kuchh hain
magar hai mujh par karam bhi un ka nasib mera bura nahin hai
nizam-e-duniya badal hi degi use samajhna nida-e-ghaibi
sada-e-takbir jo hamari hai ye hamari sada nahin hai
gul-o-shajar par hai murdani si faza pe chhaya hua hai matam
ye tujh ko kya ho gaya hai bulbul jo aaj naghma-sara nahin hai
pata hi milta nahin kuchh us ka hamen to bazar-e-zindagi men
to kya jahan-e-ḳharab men ab kahin bhi jins-e-vafa nahin hai
jahan se hai rabta jahan tak jahan hamara jahan ke dam hain
ye kaise kah den ki zindagi men kisi se kuchh vasta nahin hai
hujum-e-isyan se kuchh nahin Dar samajh chuka huun ba-roz-e-mahshar
hai us ki rahmat ka saaya sar par to kyuun kahun aasra nahin hai
jo aa hi baiTha hai aaj ‘ḳhushtar’ to ho ke ja.ega ḳhush se ḳhush-tar
tumhare dar se uThe ye kyunkar abhi to daman bhara nahin hai
Leave a Reply