
Ghulam Murtaza Rahi
aage aage shar phailata jaata huun
pichhe pichhe apni ḳhair manata huun
patthar ki surat be-his ho jaata huun
kaisi kaisi choTen sahta rahta huun
aḳhir ab tak kyuun na tumhen aaya main nazar
jaane kahan kahan to dekha jaata huun
sanson ke aane jaane se lagta hai
ik pal jiita huun to ik pal marta huun
dariya baalu moram Dho kar laata hai
main us ka sab maal uḌa le aata huun
ab to main hathon men patthar le kar bhi
a.ine ka samna karte Darta huun

Leave a Reply