dariya ka chaḌhav dekhta huun
tinkon ka bahav dekhta huun
tum dekho bulandi asman ki
main us ka jhukav dekhta huun
kal pesh-e-nazar thi tegh-e-abru
ab siine ka ghaav dekhta huun
vo aa.en na aa.en kaun jaane
aa.i hui naav dekhta huun
santa huun karah lakḌiyon ki
jalte hain alaav dekhta huun
asan nahin hai dil ki chori
tum aankh churao dekhta huun
manjdhar men hogi koi kashti
sahil pe jamav dekhta huun
tum aag men meri jal rahi ho
main duur se taao dekhta huun
apne ko ‘jamil’ bechna hai
bazar ka bhaav dekhta huun
Leave a Reply