alag main sab se kahani bhi hai alag sab se
so mujh ko ḳhaak uḌani bhi hai alag sab se
badan se ruuh nikal kar sama ga.i tujh men
miri ye naql-e-makani bhi hai alag sab se
samundaron men nahin dasht ki taraf utra
ye meri ankhon ka paani bhi hai alag sab se
mila hai dard-e-mohabbat bhi ik zamane ke ba.ad
mujhe ḳhushi ye manani bhi hai alag sab se
zara sa ḳhvab ko toḌa ḳharash Daal gaya
ki aankh men vo nishani bhi hai alag sab se
Leave a Reply