chand uljhi hui sanson ki ata huun kya huun
main charagh-e-tah-e-daman-e-saba huun kya huun
har nafas hai mira parvarda-e-aghosh-e-bala
apne na-karda gunahon ki saza huun kya huun
mujh pe khulta hi nahin mera sitam-dida vajud
koi patthar huun ki gum-karda sada huun kya huun
dil men huun aur zaban par kabhi aata bhi nahin
main koi bhola hua harf-e-dua huun kya huun
main safar men huun magar samt-e-safar koi nahin
kya main ḳhud apna hi naqsh-e-kaf-e-pa huun kya huun
main ne dekha hi nahin jagti ankhon se kabhi
koi uqda huun ki ḳhud uqda-kusha huun kya huun
puchhta hai mira pairahan-e-hasti mujh se
main qaba huun ki faqat band-e-qaba huun kya huun
dil ki aur meri zaban ek hai phir bhi ‘aḳhtar’
lafz o ma.ani ki pur-asrar faza huun kya huun
Leave a Reply