ye duniya hai yahan asli kahani pusht par rakhna
labon par pyaas rakhna aur paani pusht par rakhna
tamannaon ke andhe shahr men jab mangne niklo
to chadar sabr ki sadiyon purani pusht par rakhna
main ik mazdur huun roTi ki ḳhatir bojh uThata huun
miri qismat hai bar-e-hukmarani pusht par rakhna
tujhe bhi is kahani men kahin khona hai shahzade
ḳhuda hafiz ye mohr-e-ḳhandani pusht par rakhna
hamesha vaqt ka dariya ise raftar baḳhshega
jise aata ho dariya ki ravani pusht par rakhna
Leave a Reply