nit-na.i ḳhush-fahmiyon men mubtala rakhta huun main
ḳhalq ke hathon ko masruf-e-dua rakhta huun main
ḳhushk dharti ko ata karta huun saaya abr ka
qatra-e-baran pe dariya ki bina rakhta huun main
DhunDh hi leti hai mujh ko DhunDne vaali nazar
apne saa.e ko agarche lapata rakhta huun main
kyuun bhala asudgi mere muqaddar men nahin
kis liye din-rat ḳhud ko jagta rakhta huun main
phunkta rahta huun bahr-e-lafz men ‘ḳhalid’ fusun
mauj-e-ma.ani ko talatum-ashna rakhta huun main
Leave a Reply