halat ke qadmon pe qalandar nahin girta
tuute bhi jo taara to zamin par nahin girta
girte hain samundar men bade shauq se dariya
lekin kisi dariya men samundar nahin girta
samjho vahan phaldar shajar koi nahin hai
vo sahn ki jis men koi patthar nahin girta
itna to hua faeda barish ki kami ka
is shahr men ab koi phisal kar nahin girta
inaam ke lalach men likhe madh kisi ki
itna to kabhi koi sukhan-var nahin girta
hairan hai kai roz se thahra hua paani
talab men ab kyuun koi kankar nahin girta
us banda-e-khuddar pe nabiyon ka hai saaya
jo bhuuk men bhi luqma-e-tar par nahin girta
karna hai jo sar maarka-e-zist to sun le
be-bazu-e-haidar dar-e-khaibar nahin girta
qaaem hai ‘qatil’ ab ye mire sar ke sutun par
bhaunchal bhi aae to mira ghar nahin girta
Leave a Reply