ruthe hain ham se dost hamare kahan kahan
tuute hain zindagi ke sahare kahan kahan
duniya ki bazgasht men apni hi hai sada
aise men koi tujh ko pukare kahan kahan
kaabe men tha sakun na kalisa men chain tha
tujh se bichhad ke din ye guzare kahan kahan
tu tha rag-e-gulu se ziyada qarib-tar
dhundh aae tujh ko diid ke maare kahan kahan
taare kahin hain phuul kahin hain guhar kahin
bikhre hue hain ashk hamare kahan kahan
shama bhi muztarib hai patanga bhi muztarib
pahunche hain soz-e-gham ke sharare kahan kahan
fursat mile kabhi to shab-e-gham se ponchhna
tuute hain chashm-e-‘shauq’ se taare kahan kahan
Leave a Reply