dhaḌka tha dil ki pyaar ka mausam guzar gaya
ham Dubne chale the ki dariya utar gaya
ḳhvabon ki vo mata-e-giran kis ne chhin li
kya janiye vo niind ka aalam kidhar gaya
tum se bhi jab nashat ka ik pal na mil saka
main kasa-e-saval liye dar-ba-dar gaya
bhule se kal jo aa.ina dekha to zehn men
ik munhadim makan ka naqsha utar gaya
tez andhiyon men paanv zamin par na Tik sake
aḳhir ko main ghubar ki surat bikhar gaya
gahra sukut raat ki tanha.iyan khanDar
aise men apne aap ko dekha to Dar gaya
kahta kisi se kya ki kahan ghumta phira
sab log so ga.e to main chupke se ghar gaya
Leave a Reply