muztar tiri yadon men divana raha aksar
an-jana raha aksar begana raha aksar
saa.il ki sada.en thiin ya dost koi apna
shab-bhar tiri aahaT ka afsana raha aksar
ham par bhi nazar uTThe ham se bhi takallum ho
ḳhali tiri mahfil men paimana raha aksar
shayad tiri ankhon men ashkon ka charaghan hai
gum-sum tiri hasti men parvana raha aksar
kis darja mohabbat se har ja ko sanvara tha
mahrum-e-tamanna hi virana raha aksar
us dil ke samundar men har siip men moti hai
chahat ka miri itna nazrana raha aksar
Leave a Reply