aisa jiina bhi kya hai mar mar ke
vo jahan bhi rahe rahe dar ke
ab kisi tarah dil nahin lagta
ghar men sab kuchh to hai siva ghar ke
saans ka bojh ab nahin uthta
jism khali hai dhad bina sar ke
us ko jaane ki kitni jaldi thi
baat saari kahi pa kam kar ke
jalva dekha lahu ka us ne jab
hosh hi ud gae the khanjar ke
ret-o-sahil men sulh phir na hui
thak gai mauj iltija kar ke
zakhm kuchh is tarah se hanste hain
ashk bahne lage hain nashtar ke
raas aaya gham-e-shanasai
vaar pahchan ke the khanjar ke
us ko naraz hona aata hai?
vaari jaun main aise tevar ke
Leave a Reply