mire shauq-e-justuju ka kise e’tibar hota
sar-e-rah manzilon tak na agar ghubar hota
main tujhe khuda samajh kar na gunahgar hota
agar ek be-niyazi hi tira ashar hota
jo sitam-zadon ka ya-rab koi gham-gusar hota
to gham-e-hayat itna na dilon pe baar hota
miri zindagi men shamil jo na tera pyaar hota
to nashat-e-do-jahan bhi mujhe nagavar hota
yahi mahr o maah o anjum ko gila hai mujh se ya-rab
ki unhen bhi chain milta jo mujhe qarar hota
na sukun-e-dil ki chahat men tadap ‘adib’ itna
kisi aur ko tu milta jo kahin qarar hota
Leave a Reply