ye ped ye pahad zamin ki umang hain
saare nasheb jin ki uthanon pe dang hain
bahar ho habs phir bhi daricha khula rakhun
ye khud tasalliyan mire jiine ka dhang hain
dhundun ki intiha ki mujhe intiha mile
ye shash-jahat meri tamanna pe tang hain
ik umr ik makan ki taamir men lage
ayyam se ziyada garan khisht-o-sang hain
chahke hazar saut men ye tair-e-nazar
kirnon ke paas yuun to yahi saat rang hain
vaise hamen nadamat-e-be-chehragi nahin
har-chand tere shahr men be-nam-o-nang hain
Leave a Reply