yuun jo palkon ko mila kar nahin dekha jaata
har taraf ek hi manzar nahin dekha jaata
kaam itne hain bayabanon ke viranon ke
shaam ho jaati hai aur ghar nahin dekha jaata
jhank lete hain gareban men yahi mumkin hai
aisi pasti hai ki uupar nahin dekha jaata
jis ko ḳhvabon ko zarurat ho uTha kar le jaa.e
ham se ab aur ye daftar nahin dekha jaata
Leave a Reply