zamana DhunD raha tha kidhar gaya paani
kisi ka hukm hua to Thahar gaya paani
vo dhuup thi ki zamin jal ke raakh ho jaati
baras ke ab ke baḌa kaam kar gaya paani
baḌa ghurur tha apni chamak-damak pe use
sunar ne jo tapaya utar gaya paani
ḳhuda ka ḳhauf nahin ab tumhare zehnon men
tavahhumat ka is tarah bhar gaya paani
shikast-ḳhurda ye qaumen tumhen miTa dengi
agar tumhari hamiyyat ka mar gaya paani
taras na aaya gharibon ke haal par ‘ajiz’
sisakte paudon ke sar se guzar gaya paani
Leave a Reply