Dekha Jo Kuchh Jahan Mein Koi Dam Ye Sab Nahin

dekhā jo kuchh jahāñ meñ koī dam ye sab nahīñ

Tuk aañkh mūñdte hī tum aur ham ye sab nahīñ

thoḌī sī ziist hai jo ḳhushī se nibhe to ḳhair

varna nishāt-o-ḳhurramī-o-ġham ye sab nahīñ

bāġh-o-bahār-o-josh gul-o-ḳhanda-e-subūh

saut-e-hazār-o-girya-e-shabnam ye sab nahīñ

duniyā-o-dīn dīda-e-dil sabr aur qarār

tū hī agar nahīñ to ik aalam ye sab nahīñ

kis kaam ke haiñ be-asarī se agarche haiñ

āh-o-fuġhān-o-dīda-e-pur-nam ye sab nahīñ

be-ishq jitnī ḳhalq hai insāñ kī shakl meñ

nazroñ meñ ahl-e-dīd ke aadam ye sab nahīñ

zaḳhm-e-nihān-e-hijr ko be-vasl ai ‘muhib’

ho sūd-mand baḳhiyā-o-marham ye sab nahīñ

Leave a Comment