main vasl men bhi ‘shefta’ hasrat-talab raha
gustakhiyon men bhi mujhe pas-e-adab raha
taghir vaza ki hai ishara vida ka
yaani jafa pe khugar-e-altaf kab raha
main rashk se chala to kaha be-sabab chala
is par jo rah gaya to kaha be-sabab raha
dam bhar bhi ghair par nigah-e-lutf kyuun hai ab
ik umr main sitam-kash-e-chashm-e-ghazab raha
tha shab to aah men bhi asar jazb-e-dil men bhi
kyunkar na aae ‘shefta’ mujh ko ajab raha
Leave a Reply