• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Bu-E-Gul Chahte Hain Raqs-E-Saba Chahte Hain

Bu-E-Gul Chahte Hain Raqs-E-Saba Chahte Hain

bu-e-gul chahte hain raqs-e-saba chahte hain

band kamron ke makin taaza hava chahte hain

muflisi hosh uḌa deti hai insanon ke

ye nasha kam ho to daulat ka nasha chahte hain

kab kaha ham ne kisi zohra-jabin ki hai talash

jo hamen DhunD sake us ka pata chahte hain

ye bhi manzur nahin chand ke bashindon ko

ham ghani raat men miTTi ka diya chahte hain

ham se naraz hain suraj ki shua.en to rahen

ham to bas raushni-e-ghar-e-hira chahte hain

sab ko milta hai ye andaz-e-faqirana kahan

ham pareshan hain magar sab ka bhala chahte hain

jin ka sar dekh ke kaase ka guman ho ‘ma.asum’

vo bhi is daur men dastar-e-ana chahte hain

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

akhtar-hoshiyarpuri

Ek Nur Tha Ki Pichhle Pahar Ham-Safar Hua

sarwat-zehra

Gum-Shuda Lamhe Ki Talash

Sufi

Kya Khud-Parast-O-dair-Parast-O-Khuda-Parast

asrarul-haq-majaz

Zindagi Saz de Rahi Hai Mujhe

Takti Jhankti Rahi Aankhen

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet