dard sa uTh ke na rah jaa.e kahin dil ke qarib
meri kashti na kahin gharq ho sahil ke qarib
vajd men ruuh hai aur raqs men hai pa-e-talab
dekhiye haal mire shauq ka manzil ke qarib
rah gaya tha jo kabhi pa-e-talab men chubh kar
ab vahi ḳhar-e-tamanna hai rag-e-dil ke qarib
ab vo piiri men kahan ahd-e-javani ki umang
rang maujon ka badal jaata hai sahil ke qarib
jazba-e-shauq bhi kuchh kaam na aaya ‘hadi’
na-tavani ne biThaya mujhe manzil ke qarib
Leave a Reply