lutf ki un se iltija na karen
ham ne aisa kabhi kiya na karen
mil rahega jo un se milna hai
lab ko sharminda-e-dua na karen
sabr mushkil hai aarzu bekar
kya karen ashiqi men kya na karen
maslak-e-ishq men hai fikr haram
dil ko tadbir-ashna na karen
bhuul hi jaaen ham ko ye to na ho
log mere liye dua na karen
marzi-e-yar ke khilaf na ho
kaun kahta hai vo jafa na karen
shauq un ka so mit chuka ‘hasrat’
kya karen ham agar vafa na karen
Leave a Reply