kabhi jo main ne masarrat ka ehtimam kiya
bade tapak se gham ne mujhe salam kiya
hazar tark-e-taalluq ka ehtimam kiya
magar jahan vo mile dil ne apna kaam kiya
zamane valon ke dar se utha na haath magar
nazar se us ne ba-sad maazarat salam kiya
kabhi hanse kabhi aahen bharin kabhi roe
ba-qadr-e-martaba har gham ka ehtiram kiya
hamare hisse ki mai kaam aae pyason ke
ze-rah-e-khair gunah-e-shikast-e-jam kiya
tulu-e-mahr se bhi ghar ki tirgi na ghati
ik aur shab kati ya main ne din tamam kiya
dua ye hai na hon gumrah ham-safar mere
‘khumar’ main ne to apna safar tamam kiya
Leave a Reply