duniya men huun duniya ka talabgar nahin huun
bazar se guzra huun kharidar nahin huun
zinda huun magar ziist ki lazzat nahin baaqi
har-chand ki huun hosh men hushyar nahin huun
is khana-e-hasti se guzar jaunga be-laus
saaya huun faqat naqsh-ba-divar nahin huun
afsurda huun ibrat se dava ki nahin hajat
gham ka mujhe ye zof hai bimar nahin huun
vo gul huun khizan ne jise barbad kiya hai
uljhun kisi daman se main vo khaar nahin huun
ya rab mujhe mahfuz rakh us but ke sitam se
main us ki inayat ka talabgar nahin huun
go dava-e-taqva nahin dargah-e-khuda men
but jis se hon khush aisa gunahgar nahin huun
afsurdagi o zof ki kuchh had nahin ‘akbar’
kafir ke muqabil men bhi din-dar nahin huun
Leave a Reply