
Ghulam Rabbani Taban
har moḌ ko charagh-e-sar-e-rahguzar kaho
biite hue dinon ko ghubar-e-safar kaho
ḳhun-gashta aarzu ko kaho sham-e-mai-kada
dil ki jarahaton ko chaman ki sahar kaho
har rahguzar pe karta huun zanjir ka qayas
chaho to tum use bhi junun ka asar kaho
meri mata-e-dard yahi zindagi to hai
na-mo’tabar kaho ki use mo’atabar kaho
ye bhi uruj-e-rang ka ik mo.ajiza sahi
phulon ki tazgi ko farogh-e-sharar kaho
danish-varan-e-hal ka ‘taban’ hai mashvara
har manzar-e-jahan ko fareb-e-nazar kaho

Leave a Reply