• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Main Bataun Ishq Kya Hai Ek Paiham Iztirab

Main Bataun Ishq Kya Hai Ek Paiham Iztirab

main bata.un ishq kya hai ek paiham iztirab

dhimi dhimi aanch kahiye ya musalsal iltihab

raat vo aa.e the chehre se naqab ulTe hue

main to hairan tha nikal aaya kidhar se aftab

dil pe un ke ru-e-raushan ka paḌa hai jab se aks

dil nahin hai balki siine men hai raushan mahtab

un ke divanon ka istiqbal hai dar-o-rasan

khinch gaya jo daar par un ke liye vo kamyab

kya miri hamd-o-sana aur kya mira shukr-o-sipas

un ke ehsan be-shumar aur un ki ne.amat be-hisab

raat ka pichhla pahar tha aur aansu ki jhaḌi

mera dil tha shayad un ki bargah men baryab

ishq ki duniya men aise hadson se kya mafar

aaya qasid ka janaza mere naame ka javab

ye mahal meri tamannaon ka ai ‘ahmad-uruj’

jaise bachchon ka gharaunda jaise divane ka ḳhvab

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Fikr Mein Dube the Sab Aur Ba-Hunar Koi Na Tha

Maine Ye Jab Suna to Mera Dil Dahal Gaya

Dil-Sitani Dilrubai Par ghamanD

ahmad-nadeem-qasmi

Ruh Labon Tak Aa Kar Soche

Kuchh Ajab Aan Se Logon Mein Raha Karte The

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet