kya tum ko ilaj-e-dil-e-shaida nahin aata
aata hai par is tarah ki goya nahin aata
ho jaati thi taskin so ab fart-e-alam se
is baat ko rote hain ki rona nahin aata
tum ho ki tumhen vada-vafai ki nahin khu
main huun ki mujhe tum se taqaza nahin aata
hai paas ye kis ki nigah-e-mahv-e-haya ka
lab tak jo mire harf-e-tamanna nahin aata
un ki nigah-e-mast ke jalve hain nazar men
bhule se bhi zikr-e-mai-o-mina nahin aata
shokhi se vo mana-e-sitam puchh rahe hain
ab lafz-e-jafa bhi unhen goya nahin aata
main dard ki lazzat se raza-mand huun ‘hasrat’
mujh ko sitam-e-yar ka shikva nahin aata
Leave a Reply