sadiyon ke andhere men utara kare koi
suraj ko kisi roz hamara kare koi
ik khauf sa bas ghumta rahta hai saron men
duniya ka mire ghar se nazara kare koi
rangon ka tasavvur bhi uda aankh se ab to
is shahr men ab kaise guzara kare koi
yuun dard ne ummid ke lad se mujhe bandha
dariyaon ko jis tarah kinara kare koi
indhan se hua jin ke safar chand ka mumkin
un ke bhi to chulhe ko sanvara kare koi
raton ki hukumat men mire khvab ka taara
jiine ke liye jaise ishara kare koi
ye aaj bhi apna hai ‘faqih’ is ka bhi socho
kis tak yunhi yadon ko sahara kare koi
Leave a Reply